Thursday, 14 November 2013

jeena muhaal hogaya

jeena muhaal hogaya, marna muhaal hogaya,
kuch rehamkar saki tere bagair peena muhaal hogaya,
zindagi sawal hogai teri bandagi khayaal hogai,
darakht to ab bhi hai mere charon taraf ,
magar chaayan muhaal hogai,
kasme waade malal hogaye, hum hijr ke maare behaal hogae,
aj bhi ruksar nur sa khilta hai,
magar uspar se shabnam muhaal hogai.

raatonko neend kho jaati hai

raatonko neend kho jaati hai,
din ko chaen kho jata hai,
kiska nasha chaya hai humpar jiski harpal yaad satati hai,
puchti hai har dhadkan mujhse "heera"
ye umra ka kasur hai ya
wakai is dil me koi rehti hai ?

duan ka kafila mila

duan ka kafila mila tere sheher ki raah me,
pahunchna mumkin bhi tha par bediyan padi thi paanv me
socha bhi tha ki guzrein tere darke saamne se,
phir khayal aaya ke ab, basta nahi musafir ye
un palkonki chaanv me

Humme dekhkar yun muskaya na karo

Humme dekhkar yun muskaya na karo,
kasam hai tumhe yun pesh aaya na karo.
kareeb aakar dur jaaye na karo,
chehre se hijab yun hataya na karo,
rubaru hokar sharmaya na kar,
kisi din marjayenge hum,
yun julphen lehraya na karo.
kasam hai tumhe yun pesh aya na karo