Wednesday, 12 December 2012

darta hai dil


darta hai dil,gulzar-e-mohabbat se..
kahin kaanta chubhe aur nasur banjaye...

ye nahi ki humse pyaar nahi hoga,
ye h ki kahin mera pyaar mera kasur na banjaye

ishq ki galiyun se guzhre hai kai baar,
nazhrein nichi rakhi..
kahin koi shikar na banjaye...

parwano ko jalte dekha hai shama me...
mitne ki khwahish na hui usme.
kahin wo hamari talabgar na banjaye...

rehjayenge ret pe nishan tere


ret pe bane kadmo ke nishan,
ek din mitjayenge....

waqt ke anchal se lamhe,
ek din girjayenge,..

parchai teri lambi hote hote
ek din tujhse dur chali jayegi...

baharein bhi
ek din tujhe lahu lohan karjayengi

har pal jise saamne dekhna chahta tha tu,
wo saare ,
ek din ankhose ojhal hojayenge.


rehjayega sirf tanha sa tu 'heera'
ankhome apne ansuonko liye

par kabhi haar mat manna...

phir ek din aayega jab,
rehjayenge ret pe nishan tere......

mai janta hun wo nahi aayega


Arre peero koi mere dard ki dawa batao,
jo chalegae hamse dur koi unki khoj khabar hi le aao..

bhula na sake jinko,
jinko pana mumkin na hua..
mere us yaar ko manake  meri kabar tak hi le aao..

mai janta hun wo nahi aayega 'heera'
 koi baat nahi
 mere janaja hi  uski galiyonse lejao

tu duur bhi hai


tu duur bhi hai
tu paas bhi,
tu chadti dhup bhi hai
tu chaanv bhi,
tu shabd bhi hai tu awaaj bhi,
tu soch hai meri tu  khwaab bhi,
tu rom rom me basi hai mere
tu bekarari bhi hai tu sukun bhara ehsaas bhi
tujhe chahta hun khudse jyada
 tu khuda bhi hai mera
tu hi ardas bhi

saanjh dhale


saanjh dhale, khwabonki ek subha si jag jaati hai,

nazhar aata hai  chehra tera
jab chandni taaronpe chaati hai,

haule se chupke se teri awaaz sunai padti hai
jab hawa sar sar karti mere paas se gujarti  hai,

rom rom me umang ki lehar dodi jaati hai,
jab koi aahat mera,
naam pukara karti hai.

mehsus karta hun har pal tujhe mai,
jab kudrat ki koi halchal hoti hai,
daud jata hun jugnuonke piche piche
mano tu hi unki jyoti hai

Wednesday, 12 September 2012

mujhe bhi us paar jaana hai,


mujhe bhi us paar jaana hai,
wo rutha hua hai mujhse, mujhe usse manana hai,

mera hamrah hai,meri pehchan hai,
bhalehi hi dur hai mujhse,magar meri jaan hai...
kitna pyar hai mujhe usse,ye usse batana hai
wo rutha hua hai mujhse, mujhe usse manana hai,


tanha sa hoga wo us jahan me,
baadlon ke bich dhundta hoga mujhe aasman me,
kal raat uske sath thi mai,
ye khayal usse batana hai..
wo rutha hua hai mujhse, mujhe usse manana hai,

Chod kar chala gaya mujhe,
logon ki bheed me,
roti rehgayi mai  tanha uski yaadme,
har ek aansu ka hisab us se chukana hai,
wo rutha hua hai mujhse, mujhe usse manana hai,

mujhe bhi us paar jana hai.
mujhe bhi us paar jana hai........

Thursday, 6 September 2012

Tere bin ab jiya jaaye kaise


Apne Zakhmoko Apne hathonse siya jaaye kaise,
Tere bin ab jiya jaaye kaise...

Bhul jaaun kaise teri un yaadonko,baatonko...
Ansoon ko apni palkonse chupaya  jaiye kaise
Tere bin ab jiya jaaye kaise...

maito bhulna chahta hun tujhe,
Par dilke haathon majbur hun
kehta hai ye mujhe, usse ab bhulaya jaaye kaise....
Teri bin ab jiya jaaye kaise?????

Raahme ek musafir


Raahme ek musafir meri aur badhta nazar aaya..
Maine pucha kaun ho tum??
Par koi jawab naa aaya.

kanpte pair the uske,bal bikhrehue the,
ankhonme dard nazhar aya.
Maine phir pucha kaun ho tum??
Par koi jawab naa aaya.

Ruthi hui surat,mathe pe shikan
gaalonpar chamakta ansu nazhar aya.
Maine Phir pucha kaun ho tum??
Par koi jawab naa aaya.

kadam do jab mai badha uski aur,
ajabsa manjar nazar aya....
ektakk dekhta rehgaya mai wahin.
Wo koi aur na tha...
balki aaineme mera Aks tha
jo mujhe nazar aya.......

saki sharab la


saki sharab la abhi jeeneki aas baaki hai,
jee bhar kar pila mujhe
ab bhi mujhme pyaas baaki hai..

chalakne de jaam yun inkaar na kar,
pila de mujhe hothonse abhi kaafi raat baki hai.

madhosh hojanede mujhe sama jaanede teri baahonme...
aanchal na khinch mujhse abhi tera ehsaas baki hai...

ruth kar yun mujhse dur kyun khadi hai..
kareeb aa mere mujhme kuch saans baki hai...


Consider saki as Life above...


kehte hai log aksar mujhe,


kehte hai  log aksar mujhe,
'heera' tum likhte bada khub ho,
par itna gamgeen kyun?
duniya me kitni khubsurti h
phir tumhari gazhal maleen kyun??

mai kehta hun maana,
duniya bahut sundar h par
isse meri gazlonki sundarta raas na aayi..
bas tauhmat lagayi logone,
ke miyan gazhal to achi hai....
kahan se uthai?????

chouten wo dil pe lagi
bhalehi kabhi chehre  par nazhar na aayi..
likhta hun ab bhi  mai gazlein..
par wo khubsurti kabhi laut ke na aayi..

Friday, 27 July 2012

Man karta hai,


Teri hasi ko dekhkar,jeene ka man karta hai,
teri julfonki chanveme rehneka man karta hai,
man karta hai tujhse wafa karneka,
teri in ankhonme khoneka man karta hai,

Tere chehre ko dekhkar muskurane ka man karta hai,
Mujhe tujhse mohabbat hai kitni ye jatane ka man karta hai,
man karta hai tujhpe gazhal likhneka,
teri hothonke paimane peene ka man karta hai,

mai to sambhal jata hun,par is man ko kaise sambhalun,
jo har pal kareeb rehna chahta hai tere,
jisko tujhse izhar-e-mohabbat karneka man karta hahi..

Tuesday, 24 July 2012

meri bhi majburiyan hai..


Gaj bharke phasle hai,
Magar umra bharki duriyan hai,
Kareeb aana chahta hun tere,
Par meri bhi majburiyan hai..

saamne rehti hai mere,
mujhse baatein karti hai,
tum bekhabar ho,ya naraj..
mujhse harbar kehti hai.

ruth karmujhse apni aankhonko rulati hai,
apne maathe par dekhkar mujhe shikan laati hai,
ashru bhigote hai uske anchal ko
aur julphen satati hai...

mita dena chahta hun,darmiyan jo duriyan hai,
kareeb aana chahta hun mai tere ,
par meri bhi majburiyan hai

Thursday, 19 July 2012

Teri Yaad aati hai......


Jab gujarta hun unn galiyonse , to ek aawaj si aati hai,
jab nazrein ghumakar dekhta hun,to teri yaad aati hai,

Dheere dheere gharondonki parchaiyan paas aati hai,
jab sama jata hun mai unme,tab teri yaad aati hai,

Ankhu se nikalkar ashru dhara galonpe aati hai,
jab dekhta hun koi lehrata aanchal,tab teri yaad aati hai,

Ghumad ghumad kat ghatayein aasma pe chaati hai,
jab girti hai baarish mujhpar,tab teri yaad aati hai,

shaam dhalte dhalte raat me sama jaati hai,
jab dekhta hun taaronko ,tab teri yaad aati hai,

teri yaad aati hai, bas teri yaad aati hai
Apnoki bheedme mujhko aksar tanha kar jati hai,
Teri Yaad aati hai......

Wednesday, 18 July 2012

Kehti thi wo mujhse


Kehti thi wo mujhse ye baarish suhaani lagti hai,
barasti hai iss kadar ye,
mano kisiki deewani lagti hai,

Sarsarati hawa saansome ghul jaati hai,
bekhabar rehti hun mai,
aur wo kisiki yaad de jaati hai,

Ankho ka kaajal mera aaeyneme yun damakta hai,
dil ke raazko kardeta hai rubaru,
aansuonki balayen leta hai,

kehti thi wo mujhse "heera"
wo mujhe kyun tadpata hai,
mai baanvri hun uske prem me
Aur wo bekhabar mujhse nazre churata hai,

Preet anokhi teri dekhi,
dil mera bhi mayus ho jata hai,
Par yakeen rakh apni mohabbat pe,
kal aayega darpe tere,
wo aaj jo tujhse nazrein churata hai..

Tuesday, 17 July 2012

Mujhse dur khada jo saya hai,


Mujhse dur khada jo saya hai,
uska kuch nur mujhpar bhi aya hai,
shukra gujar hun mai tera,
jo tune mujhe aajmaya hai,

Dil Laga,Pyar hua,duniya ke liye
bekaar hua,
aisa kuch daur hampe bhi aya hai,
Mohabbat ki raahme humne  bhi wo mukaam paya hai,

Jab Tak chal saka tere saath mai chalta raha,
Kabhi mayuss, kabhi khushnuma
teri har yaad ko sanjota raha,

Ab wakht bichdneka aya hai,
tere nur se saath chuta,
ab hame andherone apnaya hai......alvida

sawan....


Rim Jhim Yun sawan barse,
lehrati yun hawan chale,
udta hua tera anchal ho,
jab balkhati hui tu chale.

Baagome koyal gunje,
ambar par ghatayen umde,
cham cham teri Payal baaje,
jahan jahan tere pair pade.

kaliya khilke phool bani,
phool ucchakar taare,
bindiya teri hai ithlati,
dekh dekh unko,
jo gaye hai tujhpe waare.

mera bhi man hai karta
ke apne sapne sakar karun,
keh daalun saare haal dilke,
aur jee bharki tujhse pyar karun..

Wednesday, 30 May 2012

Jaanta hun...

Jaanta hun mujhse raastonka koi thor nahi hota,
janta hun mujhse ashiqonka koi humnuma nahi hota,
janta hun mujhse raahgirka koi ashiyan nahi hota,
janta hun mujhse bimarka koi ilaaj nai hota,
janta hun mujhse darakhtonka koi saaya nahi hota,
janta hun mujhse viraaneka koi mehman nahi hota,
janta hun mujhse sthal koi sawan nahi hota,
janta hun mujhse shayar koi naam nahi hota,
Mai ye sab janta hun,
Janta hun Badlav kudrat ka niyam hai,
ye jante hue bhi khudko badalna mumkin nahi hota,
Janta hun wo mujhe aise kabhi nahi apnayegi,
par mai ye bhi janta hun badalne par bhi wo mujhe kabi nahi apnayegi.

Itni nazdikiyan kyun....

Itni nazdikiyan kyun badhata hai tu,
jab pata hai tujhe duur jana hi hai,
Kyun us Shaqs se dil lagata hai,
Jab ke pata hai tujhe wo dil todne wala hai,
Kyun us taraf chalte ja raha hai,
jab ke pata hai tujhe teri manzil kuch aur  hai,
Kyun us waade ki raah takta hai 'heera' ,
jab ke tujhe pata hai Zindagi wadonpe nahi irradonpe jee jati hai.

Tuesday, 29 May 2012

Padha tha Maine Kitabonme

Padha tha maine kitabonme,
Mohabbat-e-rukhsar ke baareme,
Aapse mile to pata chala,
wo sab kuch likha tha ap ke baareme,
Itni hassen,Itni Masum, Itni Ruhani,
Kaise ho sakti ho??
bas sochta raha saare raat is baareme,
Subah jab aapse nazrein mili to ye andaza hua,
wo khuda bhi har pal sochta hoga aapke baareme,
Dil to jaise dhadakna bhul gaya 'heera',
jab usne pucha kuch hamse hamare baareme.

Monday, 28 May 2012

Mai janta Par phir bhi.......


Mai janta hun tum meri ankhe padh sakti ho,
Par Phir bhi kuch kehna chahta hun,
Mai janta hun ye phasle darmiyan kam nahi honge,
Par Phir bhi tumhe Paas bulana chahta hun,
Mai Janta hun hizr ke Mainey hamare liye nahii badlenge,
Par phir bhi tumhe seenese lagana chahta hun,
Mai Janta hun aap gair ho,
Par phir bhi tumhe apna banana chahta hun,
Mai Janta hun ye sunke aap hasdoge,
Par phir bhi aapko ye Gazal sunana chahta hun..

Thursday, 24 May 2012

Wo raaz dilke

Wo raaz-e-dil ke bataye na gaye,
wo khwab sunhare sajaye na gaye,
wo lamhe judaike,waqtse churaye na gaye,
Aisa bebasi ka daur bhi guzra hai 'heera'
chahte hai bhi palkonse ansu chupaye na gaye.

Wo baat adhuri rehgayi

Tumne jo shuru ki thi kehna,
wo baat adhuri rehgayi.

Sunne ke liye jise taras gaye the hum
wo baat adhuri rehgayi.

Hamare Paas Kabhi waqt kam nahi tha
Phir kyun??
wo baat adhuri rehgayi.

Agar kehdete us baatko,to hum hizr ke maare na hote,
Phir kyun nahi kahi,kyun??
wo baat adhuri rehgayi.

Ab bhi tatolta hun un lafjonko,jo kahe nahi gaye tumse
jinke kahe bagair
wo baat adhuri rehgayi.

Bas ek sawal seene me dafan hai 'heera'
akhir kyun,KYUN?????
wo baat adhuri rehgayi.....

Meri Mohabbat

Meri Majburi ko marji na samajh,
Meri bebasi ko bewafai na samajh,
Wafa ki hai maine tujhse har pal,
mere ansuon ko aankh ka pani na samajh,
Dard hota hai dilme,jab tu ilzam deta hai,
tujhse dur jaaneke irradeko Napaak na samajh,
Bichadna bhi Padta hai Mohabbat ki raahme,
Mere haseen aashiq isse mohabbat ki ruswaayi na samajh.

Sunday, 20 May 2012

Ek raaz hai jo dil me raha nahi

Ek raaz hai jo dil me raha nahi,
Ek baat hai jo honthon tak ayi nahi,
kyun chahta hun is kadar mai tumko,
iska bhi mujhko koi pata nahi,
Bhulna tha mumkin par asan nahi thaa,
Teri yaad dil se mit jaye,
ye bhi kabhi chaha nahi,
Issi rastese gaya tha wo mujhe chodkar,
Aj bhi khada hun wahan,
wo lautkar abtak aya nahi,
Wo nadisa behta raha har pahar,
Aur mai pathar sa ruka hun  wahin.

Wednesday, 16 May 2012

Poem

Gardishonme hi sahi ek sitaara to hai,
dur hi sahi koi hamara to hai,
gamhi mila mujhe judaaika..
uski yaadke taur pe,
chalo ye hi sahi usse kuch sahara to hai.