Friday, 27 July 2012

Man karta hai,


Teri hasi ko dekhkar,jeene ka man karta hai,
teri julfonki chanveme rehneka man karta hai,
man karta hai tujhse wafa karneka,
teri in ankhonme khoneka man karta hai,

Tere chehre ko dekhkar muskurane ka man karta hai,
Mujhe tujhse mohabbat hai kitni ye jatane ka man karta hai,
man karta hai tujhpe gazhal likhneka,
teri hothonke paimane peene ka man karta hai,

mai to sambhal jata hun,par is man ko kaise sambhalun,
jo har pal kareeb rehna chahta hai tere,
jisko tujhse izhar-e-mohabbat karneka man karta hahi..

Tuesday, 24 July 2012

meri bhi majburiyan hai..


Gaj bharke phasle hai,
Magar umra bharki duriyan hai,
Kareeb aana chahta hun tere,
Par meri bhi majburiyan hai..

saamne rehti hai mere,
mujhse baatein karti hai,
tum bekhabar ho,ya naraj..
mujhse harbar kehti hai.

ruth karmujhse apni aankhonko rulati hai,
apne maathe par dekhkar mujhe shikan laati hai,
ashru bhigote hai uske anchal ko
aur julphen satati hai...

mita dena chahta hun,darmiyan jo duriyan hai,
kareeb aana chahta hun mai tere ,
par meri bhi majburiyan hai

Thursday, 19 July 2012

Teri Yaad aati hai......


Jab gujarta hun unn galiyonse , to ek aawaj si aati hai,
jab nazrein ghumakar dekhta hun,to teri yaad aati hai,

Dheere dheere gharondonki parchaiyan paas aati hai,
jab sama jata hun mai unme,tab teri yaad aati hai,

Ankhu se nikalkar ashru dhara galonpe aati hai,
jab dekhta hun koi lehrata aanchal,tab teri yaad aati hai,

Ghumad ghumad kat ghatayein aasma pe chaati hai,
jab girti hai baarish mujhpar,tab teri yaad aati hai,

shaam dhalte dhalte raat me sama jaati hai,
jab dekhta hun taaronko ,tab teri yaad aati hai,

teri yaad aati hai, bas teri yaad aati hai
Apnoki bheedme mujhko aksar tanha kar jati hai,
Teri Yaad aati hai......

Wednesday, 18 July 2012

Kehti thi wo mujhse


Kehti thi wo mujhse ye baarish suhaani lagti hai,
barasti hai iss kadar ye,
mano kisiki deewani lagti hai,

Sarsarati hawa saansome ghul jaati hai,
bekhabar rehti hun mai,
aur wo kisiki yaad de jaati hai,

Ankho ka kaajal mera aaeyneme yun damakta hai,
dil ke raazko kardeta hai rubaru,
aansuonki balayen leta hai,

kehti thi wo mujhse "heera"
wo mujhe kyun tadpata hai,
mai baanvri hun uske prem me
Aur wo bekhabar mujhse nazre churata hai,

Preet anokhi teri dekhi,
dil mera bhi mayus ho jata hai,
Par yakeen rakh apni mohabbat pe,
kal aayega darpe tere,
wo aaj jo tujhse nazrein churata hai..

Tuesday, 17 July 2012

Mujhse dur khada jo saya hai,


Mujhse dur khada jo saya hai,
uska kuch nur mujhpar bhi aya hai,
shukra gujar hun mai tera,
jo tune mujhe aajmaya hai,

Dil Laga,Pyar hua,duniya ke liye
bekaar hua,
aisa kuch daur hampe bhi aya hai,
Mohabbat ki raahme humne  bhi wo mukaam paya hai,

Jab Tak chal saka tere saath mai chalta raha,
Kabhi mayuss, kabhi khushnuma
teri har yaad ko sanjota raha,

Ab wakht bichdneka aya hai,
tere nur se saath chuta,
ab hame andherone apnaya hai......alvida

sawan....


Rim Jhim Yun sawan barse,
lehrati yun hawan chale,
udta hua tera anchal ho,
jab balkhati hui tu chale.

Baagome koyal gunje,
ambar par ghatayen umde,
cham cham teri Payal baaje,
jahan jahan tere pair pade.

kaliya khilke phool bani,
phool ucchakar taare,
bindiya teri hai ithlati,
dekh dekh unko,
jo gaye hai tujhpe waare.

mera bhi man hai karta
ke apne sapne sakar karun,
keh daalun saare haal dilke,
aur jee bharki tujhse pyar karun..