Tuesday, 16 July 2013

Banjara sa man chala

Banjara sa man chala, udta hua
Kahan thikana ye koi nahi janta,
raah kahin pathrili kahin sukadh ret ki. 
Thaharna hai ab kahan ye koi nahi janta. 
Be roktok hawake jhonkosa behta hua 
ab manzil kahan ye koi nahi janta. 
Garajta barasta manchale badal ki tarah
kahan hai sawan ye koi nahi janta.
chadta hua gehri neend sa 
kahan hai so jana ye koi nahi janta.
Jhujhta hua zindgi ki tarah aage bad raha hai ,
kab maut ko gale lag jana ye koi janta.